Najaane kyun...

Najaane kyun,
Parr tum mujhe harr jagah dikhti ho...

Tum mujhe kabhi chand ki chandani mein dikhti ho,
toh kabhi suraj ki roshni mein.
Tum mujhe raat ki khamoshi mein milti ho,
toh kabhi din ke halchal mein..

Tum mere sangeet ki harr dhun mein basi ho,
toh kabhi, tum ej-ek shringar mein saji ho.
Tum meri kavita ki gehrai ho,
toh kabhi kisi pavitra shaadi ki shehnai ho..

Tum bansuri ki aawaz mein gungunati milti ho,
toh kabhi, nanhi si chidiya samaan chahakti milti ho.
Tum meri perchai tale aanchal mein khelti ho,
toh kabhi,meri palkon par baithi najaane kya sochti ho..

Duniya se door jab main kahin kho jaati hoon,
to tum mujhe pal pal yeh ehsaas dilati ho-
ki tum aur koi nahi, mera hi ek swatantra roop ho

Jo harr bandhan se mukt hai,
Jo ek paawan kiran hai..
Khilkhilati chandani hai,
Masti mein choor masoom nazneen hai..||

No comments:

Post a Comment