Aaj Bhi..

Yeh sachh hai mere sapne yahan, manzil ka mashaal yahan hai.
Uunchhaion ko chuna hai, apna wajood dhoondhana hai kahan hai.
Main badh rahi hoon, kuch kar rahi hoon,
Khula aasman mila hai, udaan bhar rahi hoon...

Parr, tu yaad aata hai mere bachpann ka saaya bankar,
Tu mujhe satata hai meri jawani ka kaya bankar..
Dil tujhe pukarta hai jab badon ki duaein milti hain,
Mere hothon par hansi aa jati hai, jab
gudde-gudiyon ki shaadi hoti hai...

Tu maa bankar mere samne khada hota hai,
jab roti ka niwala gale se utarta hai,
To kabhi beti jaisi meri aankhein band kar jata hai,
jab koi babul dulhan ko alvida kehta hai..

Teri ungli phir pakadne ki ichchha hoti hai,
jab koi bachchhi baap ke kandhe par baithi nazar aati hai.
Tu mujhe roshni mein lipti nazar aati hai,
jab yahan dusshehhra, diwali, eid manaye jati hai...

Subah ke dodd ke baad jab tham jati hain saasein,
bas yuhin tera dhyaan aajata hai aksar..
Tere seene se lipatne ki ichchha hoti hai,
Parr tera ehsaas hi karr jata hai asar....:)

2 comments:

  1. Ittefaq hai, likhta ek insaan hai...parr uski gehrai aisi hoti hai ki subko apni kahani lagti hai... It's Wonderful Aashi... Tumhare poems bilkul tumhare naam jaisa hai, hothon pe muskaan chod deta hai...

    ReplyDelete
  2. bahut accha likhi ho.. kahene ko words nai hai.. mere typ se bole toh "feel aa gaya"...

    ReplyDelete