Zikra Kiya Hai...

Yeh zikr badi nazuk si hai,
Badlon mein chipte suraj ki hai |
Kuch aisi kashmakash hai, maano toh keh doon-
Woh dil par dastak bhi dete hain,
aur aahat milne ka intezaar bhi nahi karte ||

Yeh zikr nadi ke hath ki nahi,
Leher ki bebasi aur tadap ki hai |
Kuch aisa bandh gayee hoon main-
Woh jaan bhi jhidakte hain,
aur raah bhi nahi tak te ||

Yeh zikr taaron ke khudi-roshni ki nahi,
Sooraj ke badaulat chanda ki chandani ki hai |
Har wafa dikhayee de, yeh kaise kehoon-
Woh saath bhi nibhate hain,
aur nazar bhi nahi aate ||

Yeh zikr parwane ke jalan ki nahi,
Uss lau ki pighalti jyoti ki hai |
Itna sada dildar mila hai-
Woh ishq bhi karte hain,
aur bayan bhi nahi karte ||

1 comment:

  1. Ishq ka ek apna hi mazaa hai,
    Kabhi Rubaiyyat, kabhi pyara sa nagma hai..
    :)
    Mr.Nobody

    ReplyDelete